Anant Kshitiz Se milti Ganga ki dhar
Kaun karta hai kisse zyada pyar
kavi ke kalpana pat ka hai yeh vistaar
kudrat se bada kaun hoga aur chitrkaar.

Dhalta hua Suraj Aur Ganga ka vistar
Surya Dev ka naman karne ko sab hai taiyar
Bihar ka sabse bada tyohar
apne aap me hai anubhav ka bhandaar
dhalte surya ko naman kar
hum karte hai jivan ke sach ko sweekar.

1 comment:
Well poem
Post a Comment